O Momma O Momma
Tumne mujhe janam diya
O Momma O Momma
Sabse achcha karam kiya
_______________
Popat Kaka ki atma ka popat ud gaya ud gaya ud gaya re
Sristhi ke sarjan haal se popat jud gaya jud gaya jud gaya
re
_______________
Hawa mein hai victory ki aroma,
jeet gayi momma, jeet gayi momma
Say hi to celebration and tata
to trauma, jeet gayi momma, jeet gayi momma
_______________
Khattar Khun, Khattar Khun, Khattar Khun, mere dil ki
dhadkan ki aawaz sun
Tere pyar ki oiling ise mil gayi toh khattar khun ka ho
jayega gun gun, Khattar Khun, Khattar Khun, Khattar Khun,
_______________
Momma tum sabse pyari, tum bin
jaise mein raaste ka andha bhikari
Bheek main de do blessings
thodi, thodi mamta tumhari
Momma oh, momma ah
_______________
Ek common man ko mili hai pari
Jaise Chikoo ke phal ke saath ho raspberry
Aage aage momma aur peeche peeche daddy
Jaise ho Tom and jerry
Momma hai sweet shrikhand aur papa hai ghee wali puri
Mauka hai khushi ka aaj momma aur daddy ki anniversary
_______________
Momma ka purse momma ka purse
jaise hospital ki pyaari koi nurse
Purse mein pada tissue paper
karta hai pasine ka ilaaj
Aur lipstick hai jaise bhooke
hoton ka anaaj
Is nurse jaise purse ka hai
mulayam sa sparsh
Momma ka purse momma ka purse
jaise hospital ki pyaari joi nurse
_______________
Jaspal mama ne apni saanson se kaha: ruk ruk ruk ruk ruk ruk
ruk ruk
Mujhe lene aayen hai yamdoot dekho wahan look look look look
look look look look
Main mar jaoon toh ghar mein saada khana cook cook cook cook
cook cook cook
_______________
Indu sarabhai agar papad hote
toh hum likhte
Pichchle pachpan saal se
mashhoor
Kurkure swadistht seikne mein
aasaan
Lekin woh papad nahi hain
Woh toh hai insaan
Aaiyega unki fifty fifth
birthday ki party mein
Dinner hoga Italian
Not puri pulao aur do mistann
farsan
_______________
Chappal ki choo choo ne chidiya ki chee chee se chillakar
kaha…..
_______________
Poem on a goldfish >
Sone jaisa rang hai tera aankhen
jaise moti
Laash jaisi dikhti hai jab khuli
aankh se soti
Machli poo poo poo poo poo poo
poo poo kissi de do chhoti chhoti
_______________
Le lo le lo mujhe goad le lo aap
Mujhe chahiye mujhe chahne wale maa-baap
Chalenge kaise bhi maa-baap, daku, fakir, joker, jallad
Bas woh samjhe mujhe apni chahiti aulad
Rosesh ex-Sarabhai
_______________
Gobi ki sabzi ko mila ek ladka
Ladke ne diya gobi ko mohabbat
ka tadka
Gobi ko hua bachcha
Isliye khana hua kachcha
_______________
Jelly
Lakool Lakool Lakool Lakool
Laal laal Lakool Lakool jelly
Jelly ke cabaret dancer jaise shareer mein
Chhupi hai anjaani ankahi paheli
Jelly meri momma ka mann
Narm mulayam meetha
Pasand kare ise har koi
Sangita, rita, gita, anita
Jelly gire zameen par, toh awaaz aaye, plup plup
Bachcha usme haath maare, sunayi deti hai, thup thup
Jelly par kabhi fungus na lahe
Uska swaad kabhi bhankas na lage
Agar bachani hai hame hamaari country
Toh jelly ko banana chahiye
Desh ka Pradhan manttri
_______________
Maya - Shraddhanjali
Meri momma maya sarabhai
Meri momma maya sarabhai
Yaani ishwar ki di hui badhai
Ishwar ki samjhai hui sacchaii
Ki duniya maya se hai bani
banayi
Sab kuch hai maya, yeh sofa, yeh
kaya
Ishwar ne Tablecloth bhi hai
maya se banaya
Rishta bhi maya, raasta bhi maya
Lunch dinner aur breakfast bhi
maya
Maya toh sophistication ka
Pratik hai
Thodi contemporary thodi antique
hai
Maya toh mamta ki hai chhaya
Saara pyaar aata always via maya
Maya hai jeevan ki preyasi
Maya hai jaise dining table ki
kursi
Maya hai doodh, maya hi lassi
Phir kaise kahoo ki maya chal
basi
_______________
Kichud Kichud khann khann khann
Achanak dhan te na na nan
Zindagi ko khatam karne aagaya maran
_______________
****
Baldev’s poem on
his sasu ma’s death
Sasu maa ab aap ko koi nahi keh sake ga hello
Enjoy your death, sasu ma, chalo, chalo, chalo
****
Gad gad thak thak chale mera scooter
Jaise engine ke andar chupa ho kabutar
****
Poem written by
rosesh’s kidnapper
Chand sa chehra, aankhen do, sar pe kaale kaale kes
Badak jaisi aawaz wala rosesh, ban gaya hamara dost rosesh
****
****
Indu’s poems for
Maya
Dhinchak dhinchak mera dil dhadke thuch thuch thuch thuch
Maya main pyar karne laga hoon tumse sach much
Tab bhi karta jo hoti tumhe Parul jaise mooch,
Tab bhi chahta jo hoti tumhe ghode jaisi pooch
Dhinchak dhinchak
Gharara Gharara ghararara ghan ghan
Ghus aayi suraj ki pehli kiran
Data saaf karne ke liye toothpaste aur manjan
Aur pet saaf karne ke liye kayam churan
Maya ke mulayam nain jaise dudhwale ka aluminium ka can
Can mein doodh nain mein aansoon
Aasoon chalak pade than-ta-nan
****
Indu’s poems
Vallabhdas kaka ki shradhdhanjali
Vallabhdas kaka, pyaare Vallabhdas kaka, aapko mila hoga
swarg ka ilaaka
Dharti pe kaki nahi deti thi kisi se flirt karne ka chance
Ab swarg mein dekh rahein honge aap menaka urvashi ka dance
****
Kachcha Kela ki
kavita
Main Lukhkha hoon
Duniya chahe meri pooja karein, par main lukhkha hoon
Bhale meri burai na koi duja karein, par main lukhkha hoon
Mujhe raaj gadi pe na bithao, nahi raja kabhi banna mujhe
Mujhe mehngi cheeje nahi chahiye, ye mango lelo de do ganna
mujhe
Mujhe raaj gadi pe na bithao, nahi raja kabhi banna mujhe
Nahi hawai jahaz ki goad mein baithna
Nahi five star boat mein mujhe baithna
Main hoon garib hamesha bina makhkhan ka
Rukha sookha hu
Mujhe kam hi chahiye sabkuch, kyonke main lukhkha hoon
Main bakwaas hoon
Main itna hoon bakwaas, ke jaise baasi khatti chhaas
Meri aankhen thodi idhar udhar, meri twacha toh jaise fake
leather
Meri naak toh jaise kawwe ki choch, Mere baal jangli ghaas
Main itna hoon bakwaas, ke jaise baasi khatti chhaas
Main dhakkan hoon
Main dhakkan hoon
Main choohein ke doodh ka makkhan hoon
Main dhakkan hoon
Mujhpe na baithe makkhi bhi kabhi
Mujhe ubalo toh na bane ghee bhi kabhi
Bhikhari ke katore main gira khota sikka
Main uski khan khan hoon
Main choohein ke doodh ka makkhan hoon
Main dhakkan hoon
Main sabse bada namoona hoon duniya ka
Main germ hoon chikungunya ka
Sukkh chayn churane wala main khoonkhaar veerappan hoon
Meri umar hai pachchees saal magar
Magar main dikhta chappan hoon
Main choohein ke doodh ka makkhan hoon
Main dhakkan hoon
****
Poem by gopi
Thakkar urf ‘vyatha’
Bhains ka rishta
Meri bhains jawaan ho gayi,
ab to Sharma ke ghaas khaati hai
yaoon yaoon yaoon
Vaun ki jagaan vau karti hai
Bhains ko chahiye komal sa bail
Safed jaise poonam ka chand
Mila use gaadi kheechne wala gaadi ka saand
Saand ke saath shaadi karwane bhains ko le gaya bhaiyya
Saand Ne pakadke marodi bhains ki komal kalaiya
Chudake apni kalayi, waha se bhaagi apni bhains
Bhaiyaji ko ho gaya is baat se bada stress
Stress ke maare ho gaya hai woh hospital mein akela
Ab saand chala raha hai us bhaiyyaji ka tabela
****
****
Combined rosesh and indravadan poem
R – bud bud bud bud ubalta paani, paani mein ubale chawal ki
jawaani
I – jawan ho kar chawal sajayenge thali seene se lagayenge
dal kaali kaali
R – bhopu bhopu aaya dekho, idli waala raju pardesi
I – kaale pyaare chehre par daat bade aur aankhen jaraasi
R – roshni gar na ho aur raju khada ho saath
I – andhere mein nazar aayenge chaar chamakte daat
R - Kahat kavi rosesh aur indu
I - Hit hai Jodi batenge laddoo
****
Garibi hatao abadi ghatao
Dhood dhaad Dhood dhaad Dhood dhaad Po
bachche paida karo sirf ek ya do
uff yeh kabz uff acidity uff yeh roz jaana ek ghanta
bathroom
wahi blue tiles ke beech white white toilet
aasman ke beech jaise badal masoom
*********
Ped kaantne kuch log aaye they mere gaon mein
Dhoop bahot hai kehkar baith gaye usi ki chaoon mein
No comments:
Post a Comment